Aajkal ka jamana internet per hi nirbhar ho gaya hai. Hame kuchch bhi shoping karni ho to hum amazon ya flipkart ya phir kisi bhi online service se hum apne saman ko manga lete hai. Aur sabhi log yahi karte hai. To is bat ka fayda uthakar aap ghar baithe affiliate marketing karke paise kama sakte hai. Aaj ke samay me affiliate marketing online paise kamane ka best source me se ek hai. Apne kai bar social media par koi link share kiya gya dekhe hona jo ki kisi product ka hota hai darsal me vo affiliate link hota hai. Abhi ke samay me affiliate marketing se paise kamane ke liye bahut hi popular tarika me se ek hai. Aaj nai-nai takniko ke sath paise kamane ke tarike bhi bad chuke hai. Ab aap internet ki madad se ghar baithe paise kama sakte hai. Bahut sare logo ko abhi tak internet se paisa kamane ke bare me nahi pata aur kuchch logo ka manana hai ki internet se jyada paisa nahi kamaya ja sakta. Isliye aaj affiliate marketing ke bare me batane vale hai jise aap hazzaro nahi balki lakho rupay kama sakte hai.
Affiliate Marketing kya hai
Online saman bechne vali bahut sari company affiliate karyakram chalati hai. Jaise amazon, flipkar, snapdeal, clickbank, ebay, aadi in affiliate karyakarm me shamil ho ker koi bhi vayakti us website ke kisi bhi saman ko bech sakta hai. Jiske bad usko commission milega yah commission alag alag saman ka alag alag hota hai. Isi prakriya ko affiliate marketing kahte hai.
Isliye jo company apne vyaparik kshetra me badawa karna chahti hai unko online se affiliate programme chalakar apne utpad ko adhik se adhik bech sake. Isliye vah affiliate programme ke jariye logo ko apne sath jodti hai. Aur unke dwara kisi utpad ko bechne per commission deti hai.
Udaharan ke liye, man lijiye ki aapka koi dost online amazon ya flipkart ya kisi bhi online shoping website se kuchch saman kharidna chahta hai aur us saman ki kimal 10000 Rupya hai aise me vo sidhe amazon per jayega aur kharidega to usko 10000 rupay dena padega aur sara ka sara paisa vo company ko jayega leking agar vahi saman jab aap kahenge ki mai ek amazon ka link deta hun us link per jakar vahi saman jo kharidna chahta hai kharid lo to vaise sthiti me bhi aapke dost ko sirf 10000 rupya hi kharch karna padega lekin, kyounki amazon ko aapke karan kamai hui hai isliye us 10000 rupye me se kuchch commission aapko bhi dena hoga.
Affiliate Marketing kaise kam karti hai
Affiliate Marketing karne ke liye aapko sabse pahle Affiliate programme se judna hoga. Internet per aapko bahut sare Affiliate programme mil jaynge aap jis tarah ke saman ko bechna chahte hai us Affiliate programme se jud jaye.
Iske bad us website per uplabdh kisi bhi saman ko bechne ke liye us saman ka link banana padta hai aur phir use online se us saman ke bare me vistar karna hai aur jab us link per click karke koi saman kharidta hai to aapko commission milega. Isliye agar aap me kisi saman ko bechne ka hunar hai to yah aapke liye paise kamane ka ek achcha sadhan hai.
Affiliate Marketing karne ke liye bahut sare blogger affiliate programme karke paisa kamate hai. Aap bhi apna ek blog banakar Affiliate Marketing shuru kar sakte hai.
Affiliate Marketing se sambandhit important baten
- Affiliate Marketing se kamaye gaye paise bank account me bheje ja sakte hai.
- Affiliate programme se koi bhi jud sakta hai. Yah bilkul free hai.
- Affiliate Marketing karne ke liye aapke pas website hona jaruri nahi hai. Aap saman bechne ke liye kisi bhi vidhi ka upyog ker sakte hai.
- Affiliate programme me aapko saman bechne per hi commission yani paisa milta hai.
- Affiliate programme dhundhne ke liye aap internet per dhundh sakte hai jaise amozon affiliate program, flipkart affiliate programme aadi.
Bharat desh ka dusra sabse bada internet ka upyog karne vala desh hai. Bharat teji se technology ke kshetra me aage badh raha hai, bhavishya me bharat Affiliate Marketing me paise kamane ka achcha jariya ban sakta hai.