Social media kise kahte hain, isko ek chchote paribhasha me vayakt nahi ker sakte hain. Yah ek vristat vyakhya hai. Social media ek aisa munch hai, jo aapko alag alag manch ke madhyam se puri duniya se jodta hai. Ye ek aisi service hai jiske istemal se aap apne dosto, rishtedaro, apne pansdida logo se jud sakte hai, unse bate ker sakte hai, unke bare me her khabar jan sakte hai. Yah ek manch hai jo duniya bha ki khabro ko aapke kadmo me laker rakh de.
Aaj sabhi log social media ka istmal ker rahe hai. Social media ek aisa media hai, jo baki sare media se alag hai. Social media internet ke jariye ek kalpnik sansar banata hai. Aaj ke daur me social media jindagi ka ek aham hissa ban chukka hai. Jiske bahut prakar hain, jaise suchnaye pradan karna, manoranjan karna aur shikshit karna mukhya rup se shamil hai. Social media ek vishal network hai, jisse sabhi log ek dusre se judte hai. Yah sanchar ka ek achcha ayam hai. Jisse jaldi se suchnaye ek dusre ko pahunch jati hai. Social media ke platform sirf vayaktigat jankariyon ke liye proyog me nahi laye jate hai, balki rajnitik aur samajik mamlo me logo ki ruche ka bhi kam karta hai. Aaj ke samay me agar aap apne kushlata ko dikhana chahte hai ya duniya ke samne lana chahte hai, to aise me social media ek bahut mahtavpurn aur madadgar sadhan hai. Social media ke prakar is prakar hai. Face book, twitter instagram, you tube, Google, linked in whatsup Skype snap chat
Social media ke fayde
Jankari milti rahti hai
Aaj ke samay me agar aapke pas news chanel kholker dekhne ka samay nahin hai to aap facebook khol lijiye aur aapko sari jankariyan mil jayegi. Sabhi news chanel ne apna facebook account banaya hua hai aur koi bhi jankari aane per sabse pahle usme update karte hain. Isliye social media ka sabse bada fayda yahi hai ki aap pal pal ki khabron ki jankari milti rahti hai.
Apno se judav
Agar sahi mayno me kahe to social media jaise facebook aur wahatsup iske liye shuru hua tha ki log unse mil sake jinhe vo bhul chuke hai ya ab unke sampark me nahin hain. Purane doston se milna, naye dost banana, aur vertman ke dosto se chat karna aaj ke samay me social media ki khubsurati ko bayan karta hai. Iske alawa aap kisi aur shahar ya gaon me rahate hai aur aapka dost ya rishtedar kisi aur shahar me hai aur aap uske sampark me nahin hai to aise me aap usse face book ya instagram ke madhyam se usse sampark ker sakte hai aur bat ker sakte hai. Aap apne dost, gharwale aur rishtedar se jud sakte hai vo bhi bas ek button ke madhyam se.
Samay ke sath chalna
Agar aap social media ka istemal karte hai aur active rahte hai aap vakt ko samjhte hai, aur aapko yah pata hai ki is vakt ki sabse badi mang kya hai.
Jagrookta
Social media ka upyog ker logo ki jindgi me aasani se Jagrookta laya ja sakta hai. Hal hi me aapne dekha hoga ki social media per swachch bharat abhiyan chalaya gaya jo ki safai se juda tha. Matdata ko chunav me apne vote ka proyog awashya Karen jo ki desh me chal rahe loksabha ke chunav se juda tha. Iska upyog ker logo ke jeevan me achche kam ke liye jagrukta laya ja sakta hain.
Social media ke nuksan
Agar faydo ki bat ki jaye to vo kam hai lekin agar nuksano ki bat kare to vo bahut hi adhik hai jaise ki
Samay ki barbadi
Social media aapka sabse adhik samay barbad karta hai aur aapko ye bat man leni chahiye. Agar koi vaykti bas ek news ya kisi ek insan se bat karne ke liye social media me aata hai to vo kam se kam adhe ghante ka samay yahan vyatit karta hai kyonki use aisi aisi cheeje dekhai dene lagti hai ki vo unhe khone me majboor ho jata hai aur padta chala jata hai. Students apna amulya samay social media me barbad karte hai jo ki unke bhavishya ke sath khilvar hai.
Nakaratmak soch
Din bhar ho rahi hinsa aur tanav ki khabre social media me jamkar chalti rahti hai aur na chahte huye bhe aapko inse rubru hona padta hai kyonki aap social media me hai aur yah khabren aapke uper nakaratamak prabhav dalti hai. Jisse mansik tanav ki stihi utpann ho jati hai.
Paiso ki barbadi
Internet istemal karne ke liye aap usme data ka istemal karte hai aur yah khatam hone per bar bar aap ise recharge karwate hai jisse aapke paiso ki barbadi hoti hai.
Social media istemal karna galat nahi hai lekin agar yah aapke vicharo aur sanskaro me hawi hone lag jaye to yah bahut khatarnak roop le leta hai.